Threads of time...

Saturday, June 21, 2008

Diwarein !

Kya Kabhi soacha hai
Yeh jo humare beeach ki diwar hai
Ek aadha adhura hissa hai jo iss paar hai
Tadapta hai sampoorn hone ke liye
Ek khamoshi ka sagar hai darmiyan
Jisme ruk ruk kar uffantaa hua jawaar hai
Raat ko jab tim timate hai sitaare iss gagan mein
Dil mein mere hota ghan-ghor andhkaar hai
Koi hai uss paar jisse judi iss dil ki taar hai
Na khud par hai aktiyaar na hai khudai par koi jor
Boond Boond pyar ke liye rota yeh dil behisaab hai
Agar akele hi aana aur jaana tha to kyuon yeh sansaar hai
Khamosh dhadkanon mein bandha kahin koi jiwan ka saar hai
Agar pyar khuda nahin to khuda bhi sirf ek khamosh diwar hai
Aur diwaron ka na koi dil hai na kissi se koi sarokaar hai !

Labels:

posted by Nomade at 8:17 AM

2 Comments:

wow!!!

July 8, 2008 at 6:08 PM  

Ohhh Myyy Godd Its Really superb Heart Touching Poetry,,,I Felt It Was mINE lIFEEE,,,But Thank God In Reality Its Not Mine,,,Bcoz If It s My Life It Could Be Really painful,,,,

July 28, 2008 at 3:05 PM  

Post a Comment

<< Home