Threads of time...
Thursday, October 11, 2007
Intezaar..
Kiska hai iss dil ko sadiyon se intezaar
kyuon hai karvata woh bedard itna intezaar
humko to hai bas uss mand hansi ka intezaar
kaliyon ke phool bankar khilne ka intezaar
unn chamkti ankhon mein ikraar milne ka intezaar
apne daayre mein samet kar chupa lene ka intezaar
surkh labon se humara naam pukarne ka intezaar
ek baar aa kar kabhi na laut jaane ka intezaar
jindagi bhar yuhin saath nibhane ka intezaar
aur unke kandhey par sir rakh
hamesha ke liye soo jaane ka intezaar !!!

posted by Nomade at 10:08 AM
1 Comments:
बहुत अच्छा लिखा है पर देवनागरी में क्यों नहीं लिखते?
Post a Comment
<< Home