Threads of time...

Tuesday, October 9, 2007

Sapne Apne

Jab soti hai saari duniya tab veh akela jagta hai
raaton mein uth uth kar sapnon ke piche bhagta hai
parayon ki bheer mein kissi apne ko talashta hai
shaayad kahin kho gaya uska apna vajood bhi hai
ab har cheeze mein jindagi ke mayine talashta hai
biyabaan registan mein jyun gulshan ko sinchta hai
woh bhi jaane kiss mrigtrishna ke picche bhagta hai
chhota sa insaan hai woh par haar nahin maanta hai
akela hi chattanon se takra kar rasta taraashta hai
sailab aate hai musibaton ke uski hansi le jaatey hai
weh fir khada hota hai aur jine ka raasta talashta hai
jaana hai usko bahoot door par manjil laapata hai
akela apne kandhon par apna saleeb dhotta hai
kehta kuch khas nahin sab kuch sehta jaata hai
kiye the jo waadey unhe haqikat se sanwarta hai
har subah mein ek nayi ummeed ko talashta hai
chahe jamaana beri ho karam se nahin bhagta hai
kathinaiyon ki chattan se veh jindagi tarashta hai
kathinaiyon ki chattan se veh jindagi tarashta hai !

Labels:

posted by Nomade at 3:00 PM

0 Comments:

Post a Comment

<< Home