Threads of time...

Thursday, September 20, 2007

Aaina ....

Dil hai par mehsoos nahin karta hai
dimage hai par soachta nahin hai
jubaan hai jo ladkhadati hai kuch kehne se
kaan hai jo sirf antarmagn hi rehte hain
bahar ke kolahal mein kissi ko kuch sujhta nahin hai
do paaye hain hum par chopayon se tej bhagte hain
insaan hain hum par saans lene se ghabraate hain
marne ke darr se har pal jiye marey jaate hain
apne aap se bhi apna chehra chhupate hain
aisa hi hai to kyuon aaine ke saamne jaate hain !

Labels:

posted by Nomade at 10:56 AM

1 Comments:

bahut hi umda likhte hai aap!

September 22, 2007 at 10:48 AM  

Post a Comment

<< Home