Threads of time...

Wednesday, September 12, 2007

Woh Kuch aisa hi tha ....

Woh kuch aisa hi tha
ankhon mein nami
hoton par muskaan
dil mein bhare jakhm
auron ko lagata marham
woh kuch aisa hi tha

na apno ne kiya rehm
na geron ne rakhi sharam
mit ta raha chalta raha
ruke na kabhi kadam
woh kuch aisa hi tha

na thi raaton ki nind
na tha din ka koi chain
muskurane ko tarasta tha
par na deta tha kisiko koi gum
woh kuch aisa hi tha

bhir mein jaise akela tha woh
apni parchai se bhi na kiya shikwa
jakhm khata raha hansta raha
sir jhukata raha sehta raha
na kiya kabhi maila apna mann
woh kuch aisa hi tha

jab tut jaata tha sabr ka bandh uska
diwaron darkhton se mil kar rota woh
awaaz nahin thi uski siskiyon mein
sirf akelapan aur sannaata tha
woh kuch aisa hi tha

dil mein kuch kar jaane ki aag thi
kissi ke kuch kaam aane ki aas thi
daurta firta tha woh har dum jaise
na jaane kiss sukhanvar ki talaash ho
kuch khawab the uske jinki tameel ki aas ho
woh kuch aisa hi tha

Labels:

posted by Nomade at 11:49 AM

1 Comments:

Awesome!!!!

September 14, 2007 at 10:24 AM  

Post a Comment

<< Home