Threads of time...

Wednesday, October 24, 2007

Samundar Kinare...

Samundar kinare mein baitha
dekhta unn aati jaati lehron ko
prayatansheel hai woh nirantar
inn kinaron ke srinjan mein
laati samundar ki gehraiyon se
unginat sundar saugatein yeh
bikhair jaati taton par sab kuch
jyuon taare saje nile amber mein
ithalata itraata kinara baitha jyuon
nirjiev sa sameteta jaata sab kuch
apni kissi khoi jageer jaisa
anjaan weh samundar ke badappan se
apne astitav ke ghamand mein chur chur
agar aa jaaye samundar mein ufaan
to nahi dikhey kinare dooor sudoor
sab kuch ho jaaye jal vileen
samundar ki leherein jyuin
jeevan ka paath padati hain
ravangi aur karmathta se
kabhi nahin ghabraati hain
shalinta se kinaron ka srinjan karen
apna bal nahin dikhlaati hain
kinaron ke liye bani hain lehren
unhi par nyochawar hui jaati hain !

Labels:

posted by Nomade at 12:25 PM

0 Comments:

Post a Comment

<< Home